Un drakhton ke saaye,
Aaj na jaane kahan gaye,
Khela karte thae jinke talae,
Unki chaav kahan kho gayi?
Saamne ye wo Aadmi nahi,
Jisne inhe lagaay tha,
Aaj ye wo insaan hai,
Jo cheen raha hai unka saaya.
Aaj sab jaanwar dare sehme se hain,
Paxiyun ke kalrav ab dabe se hain,
Ab dekhne mein sab khush lagte hain,
Par ander gile-shikwe dabe se hain.
No comments:
Post a Comment